Aata Hai Yaad Mujhko Guzra Hua Zamana
Woh Bagh Ki Baharein Woh Sab Ka Cheh-Chehana
Azadiyan Kahan Woh Ab Apne Ghonsle Ki
Apni Khushi Se Aana Apne Khushi Se Jana
Lagti Hai Chot Dil Per Aata Hai Yaad Jis Dam
Shab-Nam Ke Aansoun Per Kalyon Ka Muskurana
Woh Piyari Piyari Sorat Woh Kamni Si Morat
Abaad Jis Ke Dam Se Tha Mera Ashyana
Aati Nahi Sadaein Es Ki Mere Qafas Mein
Hoti Meri Rehai Aey Kash Mere Bas Mein
Kya Bad-Nasib Hon Main Ghar Ko Taras Raha Hon
Sathi Tou Hein Watan Mein, Main Qaed Mein Para Hon
Aati Bahar Kaliyan Pholon Ke Hans Rahi Hein
Main Es Andhere Ghar Mein Qismat Ko Ro Raha Hon
Es Qaed Ka Ilahi Dukhda Kise Sunaon
Darr Yahi Qafas Mein Main Gham Se Mar Na Jaon
Jab Se Chaman Chutta Hai Yeh Hal Ho Gaya Hai
Dil Gham Ko Kha Raha Hai, Gham Dil Ko Kha Raha Hai
Gana Ese Samajh Kar Khush Ho Na Sunne Wale
Dukhe Howe Dilon Ki Faryad Yeh Sada Hai
Azad Mujh Ko Kar De Ouu Qaed Karne Wale
Main Be-Zaban Ho Qaedi Tu Chor Kar Dua Le
Parinde ki Faryad
Khoobsoorat Urdu nazam
By
Allama Iqbal
No comments:
Post a Comment